ḳhamosh nigahon se vo yalghar ka hona
milta hai nafi men kisi iqrar ka hona
mahfuz mire ḳhvab ko batlata nahin hai
ik aks-e-taraddud men nigah-dar ka hona
hairat men nahin Dalta ab shahr-e-guman ko
har roz lahu-rang men aḳhbar ka hona
asar-e-ta.alluq ko jala deta hai aksar
gumnam kisi dard men gham-ḳhvar ka hona
raste ke takalluf se chalo baat karen kuchh
mumkin nahin har moḌ pe ghar-bar ka hona
lamhon ke isharon se ayaan hone laga hai
galiyon men mire yaar ki aghyar ka hona
karta hai bahut yaad shab-o-roz mira dil
phulon ke nagar men rah-e-pur-ḳhar ka hona
aqlim-e-jafa-kesh men tum dekhna ‘ja.afar’
lazim hai pas-e-dar kisi divar ka hona
Leave a Reply