jab vo mah-e-ruḳhsar yakayak nazar aaya
us maah ki tal.at suun suraj dil men dar aaya
tere ruḳh-e-raushan kuun siyah ḳhat men sirijan
dekha so kaha abr-e-siyah men qamar aaya
gulshan men chal ai sarv-e-sahi sair ki ḳhatir
tujh vaste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya
tujh jam-e-nayan men hai ajab bada-e-sarshar
yak diid sati jis ke ho dil be-ḳhabar aaya
muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka naama
qasid ho mira dil le sajan ki ḳhabar aaya
kahte hain sab ahl-e-suḳhan is sher kuun sun kar
tujh tab.a men ‘da.ud’ ‘vali’ ka asar aaya
Leave a Reply