apne is shauq ka iz.har karen bhi ki nahin
pyaar vaise bhi hai dushvar karen bhi ki nahin
kya zaruri hai ye iqrar ki muhtaj rahe
ham mohabbat ko yuun lachar karen bhi ki nahin
ho ga.iin ishq ki nilam dukanen kitni
ye ḳhasare ka hai bevpar karen bhi ki nahin
kahte hain is se mohabbat ka maza baḌhta hai
karni hai chhoTi si takrar karen bhi ki nahin
hai ḳhabar aaj to qatil hain ada.en un ki
jaan le sakta hai didar karen bhi ki nahin
Dagmaga ja.egi jo dekh le un ankhon men
apni niyyat ko yuun sarshar karen bhi ki nahin
ishq hai vo hasin ghalati ki ‘nava’ puchhte hain
ik dafa ho ga.i har baar karen bhi ki nahin
Leave a Reply