ankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main
ai khvab tera gham bhi nahin kar sakunga main
ik mustaqil safar hai tiri aarzu mujhe
aur khud ko taza-dam bhi nahin kar sakunga main
us ko khuda banane ki zid par ada hai tu
ai dil jise sanam bhi nahin kar sakunga main
sabza bhi chahti hain tasavvur ki khaak par
vo ankhen jin ko nam bhi nahin kar sakunga main
ik jaan hai jo nazr guzari na jaegi
ik sar hai jis ko kham bhi nahin kar sakunga main
teri kami men roz izafa karegi umr
aur is kami ko kam bhi nahin kar sakunga main
Leave a Reply