huzur aise na kijiye koi mar gaya to
bala ka ye vaqt tum pe aa ke Thahar gaya to
ye fikr mujh ko nahin ki ḳhurshid munh ko aave
ye fikr mujh ko ki tere dil men utar gaya to
main tark-e-mai to kiye hue huun pe sochta huun
ki pir-e-mai mere samne se guzar gaya to
main muntazir aap ka rahunga phir a.iyega
karun main kaise yaqin kahin main bhi mar gaya to
main khul ke jiita nahin jiyun bhi bhala main kaise
kahin agar jiine se mira bhi ji bhar gaya to
sitare kya hain main asman hi liye phir aa.uun
guman ye guzre kahin vo kafir mukar gaya to
vo mere haq men gavahi dene to aa gaya hai
Dara huun sach kahne se kahin vo bhi Dar gaya to
tumhen bhi ‘hasrat’ ki halat-e-hal par nahin ranj
ghamon ka sailab samt chhoḌe udhar gaya to
Leave a Reply