Dil Se Puchho Kya Hua Tha Aur Kyun KHamosh Tha

dil se pūchho kyā huā thā aur kyuuñ ḳhāmosh thā

aañkh mahv-e-dīd thī itnā mujhe bas hosh thā

vo bhī kyā tāsīr thī jis ne hilā.e sab ke dil

kyā batā.ūñ vo mirā hī nāla-e-pur-josh thā

mahfil-e-sāqī meñ thā kuchh aur hī mastoñ kā rañg

koī sāġhar DhūñDhtā thā aur koī behosh thā

kyā ajab hai jā.eza le mai-parastoñ kā koī

yaad rakhnā sāqiyā mujh sā bhī ik mai-nosh thā

kyā samajh saktā thā koī tere dīvāne kī chup

jab kisī ne us se kuchh pūchhā to bas ḳhāmosh thā

be-ḳhudī se nashsha-e-jām-e-ḳhudī utrā to phir

ek hī sāġhar milā aisā ki maiñ mad.hosh thā

ik hamīñ ko sāqiyā pūchhā na tū ne daur maiñ

varna mai-ḳhāne meñ tere shor noshā-nosh thā

kis qadar thā ishtiyāq-e-manzil-e-maqsūd use

marne vaale kā janāza aaj doshā-dosh thā

zindagī-bhar ke gunāhoñ se ye thī sharam ai ajal

tārik-e-hastī yahāñ se jab chalā rū-posh thā

ġhunche kyuuñ ḳhāmosh aa.e gulshan-e-hastī meñ ‘shauq’

mausam-e-gul se magar ḳhauf-e-ḳhizāñ ham-dosh thā

Leave a Comment