khamir mera utha vafa se
vajud mera faqat haya se
kuchh aur bojhal hua mira dil
ghuti hui dard ki faza se
baras pade hasraton ke badal
nazar pe chhai hui ghata se
hai vahshaton ka safar musalsal
badha junun hijr ki saza se
hatheliyon par na rach saki vo
jo naam likkha tira hina se
bana gai tum ko aur chanchal
jhuki jo meri nazar haya se
gulon pe ik be-khudi si chhai
chaman men bahki hui saba se
hai vajd kyuun shakh-e-gul pe taari
lipat ke jhumi vo kyuun hava se
mahak ki kirnen chaman men raqsan
gulab ki reshmi qaba se
kali ko chuma gulon ko nocha
kisi ne simab si ada se
hai to masiha to kar mudava
hai soch zakhmi tiri jafa se
vahi ada be-niyaziyon ki
to kaam kab tak na luun ana se
yaqin kaise karun main ‘bano’
sukun kya de saken dilase
Leave a Reply