aise to koi tark sukunat nahin karta
hijrat vahi karta hai jo baiat nahin karta
ye log mujhe kis liye dozakh se daraen
main ashiqi karta huun ibadat nahin karta
ham silsila-daron ke ho kyuun jaan ke darpai
kafir use kahiye jo mohabbat nahin karta
lagta hai yahan maut nahin aani kisi ko
is shahr men ab koi vasiyyat nahin karta
ye mujh ko batate hain ghazalan-e-tarah-dar
achchha vahi rahta hai jo vahshat nahin karta
‘tabish’ ka qayamat se yaqin uth na gaya ho
kuchh din se vo zikr-e-qad-o-qamat nahin karta
Leave a Reply