ḳhalvaton men baha liya tira gham
bazm men gunguna liya tira gham
har udasi pe ik tabassum tha
muskurahaT se kha liya tira gham
tha kabhi chak-chak galiyon men
ham ne apna bana liya tira gham
puchhne par ḳhuda ka shukr kiya
dhaḌkanon ko suna liya tira gham
‘roz’ kis tarah zindagi karte
shukr hai ham ne pa liya tira gham
Leave a Reply