• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khala Mein Ludhakti Zamin

Khala Mein Ludhakti Zamin

sarwat-zehra

zamin

banjh chehron ke ham-rah

chalti chali ja rahi hai

khala

apni barfab si vusaton men

zamane ugalta hua chal raha hai

safar

zaviyon ki panahon men baitha hua

khvab men dhal raha hai

zamin

banjh chehron ke ham-rah

chalti chali ja rahi hai

hava

apni sanson ke barud men

khvahishon ko ulatti hui bah rahi hai

zamin

banjh chehron ke ham-rah

chalti chali ja rahi hai

samundar ki khun-khvar lahren

safar dar safar khauf pahne hue

bhagti ja rahi hain

kabhi chand ke

aur kabhi

jalte suraj ke jismon ko pi ke

kai rang phaila rahi hain

zamin

banjh chehron ke ham-rah

chalti chali ja rahi hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Khaali Aashiq Se Kabhi Kucha-E-Jaanan Na Raha

Ishq Ki Dastaras Mein Kuchh Bhi Nahin

abdul-hamid-adam

Ek Reza Tere Tabassum Ka

zafar-iqbal

Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega

poet

Kabhi Khun Hoti Hue Aur Kabhi Jalte dekha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet