ḳhaak ugati hain suraten kya kya
a.inon men hain hairaten kya kya
umr ke be-sabat safhon par
likh raha huun ibaraten kya kya
khulte jaate hain bab-e-harf-o-sada
ho rahi hain ziyaraten kya kya
muḌ ke dekhun to naqsh-e-pa ki tarah
ham-safar hain rivayaten kya kya
lafz avaz aur saa.e men
DhunDhta huun shabahaten kya kya
ḳhvab se paikar-e-ma.ani tak
runuma hain alamaten kya kya
rang laa.i hai hasrat-e-tamir
gir rahi hain imaraten kya kya
aadmi marsiyon ki surat men
likh raha hai basharaten kya kya
Leave a Reply