KHafi Raha Ya Jali Aalam-E-Shuhud Mein Tha

ḳhafī rahā yā jalī ālam-e-shuhūd meñ thā

maiñ amr-e-kun se bhī pahle kisī vajūd meñ thā

kisī sadā ne barañgeḳhta kiyā mujh ko

vagarna maiñ bhī isī halqa-e-ḳhumūd meñ thā

mujhe shu.ūr diyā be.asat-e-payambar ne

phir is ke baad maiñ allāh ke junūd meñ thā

mujhe husain ne zarre se māhtāb kiyā

maiñ be-nishān tamāshā-e-hast-o-būd meñ thā

na jidd-o-jahd-e-musalsal ne soz-o-sāz-e-hayāt

misāl-e-shajr zamīñ-bos maiñ jumūd meñ thā

añdherī raat meñ nudrat milī sitāre ko

tamām roz vo Duubā huā kabūd meñ thā

talāsh-e-manzil-e-hastī meñ ḳhāk-bāzī kī

mirā maqām magar qil.a-e-umūd meñ thā

mujhe qayām ke qābil kiyā irāde ne

maiñ ek umr talak hālat-e-qu.ūd meñ thā

vo karr-o-far-e-taḳhayyul ke nāshirān to the

magar har ek numā.ish meñ yā numūd meñ thā

maiñ madd-o-jazr-e-taḳhayyul ko us ke naam karūñ

ki jis kā zikr hamesha mire darūd meñ thā

vo taḳht-e-ḳhāk pe baiThā vahī qalandar hai

ki jis ke sāmne jibrīl bhī sujūd meñ thā

matā-e-qāfila-e-ishq jab luTī ‘naqqāsh’

vo mere mulk-e-sitam-kesh kī hudūd meñ thā

Leave a Comment