• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Har Ghadi Kahta Hai Yun Jis Taur Se Ab Ho Sake

dil Har Ghadi Kahta Hai Yun Jis Taur Se Ab Ho Sake

nazeer-akbarabadi

dil har ghadi kahta hai yuun jis taur se ab ho sake

uth aur sambhal ghar se nikal aur paas us chanchal ke chal

dekhi jo us mahbub ki ham ne jhalak hai kal ki kal

paai har ik taaviz men apne dil-e-bekal ki kal

jab naaz se hans kar kaha us ne are chal kya hai tu

kya kya pasand aai hain us naznin chanchal ki chal

hai vo kaf-e-pa narm-tar us ki ki vaqt-e-ham-sari

daale kaf-e-pa-e-sanam narmi vahin makhmal ki mal

ham hain tumhare mubtala muddat se hai ye aarzu

baitho hamare paas bhi ai jaan kabhi ik pal ki pal

hai dam ghanimat ai ‘nazir’ ab mai-kade men baith kar

tu aaj to mai pi miyan phir dekh liijo kal ki kal

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sahraon Ne Manga Pani

ambarin-salahuddin

Uske dhyan Ki dil Mein Pyas Jaga Li Jae

MULLA JAMI

Kard Chu Aan Band Gushai Mara

Shah-E-Alam Ko Sar-E-Am Suna baiTha Hun

Chehra Lala-Rang Hua Hai Mausam-E-Ranj-O-Malal Ke Baad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet