Aankh Ashk Bahane Pe Hai Mamur Minal-Ishq

aañkh ashk bahāne pe hai māmūr minal-ishq

aur hoñT haiñ chup rahne pe majbūr minal-ishq

dāman pe tire dāġh-e-mohabbat nahīñ ik bhī

lagtā hai miyāñ tū mujhe maqhūr minal-ishq

chaltī hai uThā kar tirī ḳhushbu-e-badan ko

merī to har ik saañs hai mazdūr minal-ishq

maj.hūl hai mat.ūn hai mal.ūn hai vo shaḳhs

jo hijr se ghabrā ke ho mafrūr minal-ishq

‘ammār’ kā īmān hai chāhat ke jahāñ meñ

hotā hai vahī jo bhī ho manzūr minal-ishq

Leave a Comment