ḳhafa us se kyuun tu miri jaan hai
‘asar’ to koi dam ka mehman hai
tere ahd men saḳht andher hai
ki ishq o havas har do yaksan hai
kahun kya ḳhuda janta hai sanam
mohabbat tiri apna iman hai
dil-o-gham men aur sina-o-dagh men
rifaqat ka yaan ahd-o-paiman hai
tujhe bhi kabhu kuchh mira hai ḳhayal
mujhe marte marte tira dhyan hai
na dekha phir aḳhir ki mushkil paḌi
udhar dekhna aisa asan hai
qayamat yahi hai ki abru kaman
tujhe jin ne dekha so qurban hai
gulon ki tarah chaak ka ai bahar
muhayya har ik yaan gareban hai
bhala diid kar lijiye muft hai
ki ab tak sitamgar vo anjan hai
mujhe qatl karte to uunen kya
par apne kiye par pasheman hai
nahin hai ye qatil taghaful ka vaqt
ḳhabar le ki baaqi abhi jaan hai
ta.ammul kahan varna chuun ghuncha yaan
jo sar hai so gharq-e-gareban hai
ye kya ho gaya dekhte dekhte
‘asar’ main to main vo bhi hairan hai
Leave a Reply