mai-kade men baiTh kar iman ki parva na kar
ya use bhi ek do chullu pila divana kar
muskura de qissa-e-ummid kar de muḳhtasar
ya baḌha le chal zara si baat ko afsana kar
ḳhush-mazaqi shart ho jis ke nazare ke liye
us gul-e-ḳhud-ru ko yarab zinat-e-virana kar
hadisa hai lekin aisa ghair-ma.amuli nahin
sham.a par parvana jalne de koi parvana kar
Leave a Reply