khali hua gilas nasha sar men aa gaya
dariya utar gaya to samundar men aa gaya
yakjai ka tilism raha taari tuut kar
vo samne se hat ke barabar men aa gaya
ja kar jahan pe rakkha tha hona kiya durust
itna sa kaam kar ke main pal bhar men aa gaya
lekin badai ka koi ehsas kab raha
chakkar tha duniya-dari ka chakkar men aa gaya
aa ja ke munhasir raha nigarani par tamam
aksar se ja raha kabhi aksar men aa gaya
yak gosha-e-vajud men rakkha qayam kuchh
bahar bada fasad tha so ghar men aa gaya
tuuta kahin se aur gira sahn men mire
saara parinda yuun laga is par men aa gaya
avaz dunga saath mire aa sako to aao
thoda jo aur halat-e-behtar men aa gaya
duniya ke khvab dekhte guzra tamam roz
uthte hi khvab-e-asl se daftar men aa gaya
jagunga jab sada-e-uluhi sununga kuchh
janunga jab parinda sanobar men aa gaya
shayad nazare ki yahi be-hayyati rahi
manzar se jaane par koi manzar men aa gaya
hilna pade na taaki kisi ranj par mujhe
saare ka saara main kisi patthar men aa gaya
khud ko qayam karne pe targhib dunga main
koi jo ism kal mire mantar men aa gaya
be-martaba bhi saans ka lena giran na tha
taqdis ka khayal muqaddar men aa gaya
bazar men nigah na dil par padi tiri
nayab jins-e-dahr tha vafar men aa gaya
sayyargan to apni ravish par the gamzan
lekin ‘naved’ tu kahan chakkar men aa gaya
Leave a Reply