kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin
zindagi us ki hai mar jaana jise mushkil nahin
haan ye saara khel parvanon ki jan-bazi ka hai
sham-e-raushan par madar-e-girya-e-mahfil nahin
aam hi karna paḌega un ko faiz-e-iltifat
ghair hargiz iltifat-e-ḳhas ke qabil nahin
muntaḳhab main hi hua mashq-e-taghaful ke liye
vo taghaful-kesh meri yaad se ghafil nahin
halqa-e-girdab hai gahvara-e-ishrat mujhe
zauq-e-asa.ish mira minnat-kash-e-sahil nahin
dekhiye kya ho hamare shauq-e-manzil ka ma.aal
paanv men taqat ba-qadr-e-duri-e-manzil nahin
laakh dil qurban us chashm-e-nadamat-kesh par
ya.ani mujh ko arzu-e-ḳhun-baha-e-dil nahin
marja-e-barq-e-bala hai ai ‘vafa’ duniya-e-ishq
hasil-e-hasrat yahan juz hasrat-e-hasil nahin
Leave a Reply