• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aao patjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho

Aao patjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho

aao patjhaḌ men kabhi haal hamara dekho

ḳhushk patton ke sulagne ka tamasha dekho

paas aa kar mire baiTho mujhe apna samjho

jab bhi ruThi hui yaado mujhe tanha dekho

phuul har shaḳh pe khilte hain bikhar jaate hain

kya tamasha hai sar-e-naḳhl-e-tamanna dekho

kabhi ham-rang-e-zamin hai kabhi ham-dosh-e-falak

kohsaron se uchhalta hua dariya dekho

khulti jaati hai shafaq rangi-e-ḳhun-ta-ba-sahar

shab ke siine men jo paivast hai neza dekho

yuun to ghar hi men simaT aa.i hai duniya saari

ho mayassar to kabhi ghuum ke duniya dekho

unhi ankhon men utar jaati hai har shaam ‘jamil’

unhi ankhon se nikalta hai savera dekho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun

ahmad-tariq

dar Ke Baitha Hun Sar-Nigun Wahshat

ahmad-rahi

Jinhen Ras Aa Gae Hain Ye Sahar-Numa Andhere

poet

Ye Aalam Hai to Phir Kyon Hon Hawadis Se Pareshan Hum

Misal-E-KHwab Hamesha Kisi Safar Mein Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet