• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai

Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai

poet

muztarib huun ab ye ji ki baat hai

afv kiije be-khudi ki baat hai

saikdon ushshaq ke tode hain dil

kya tumhari nazuki ki baat hai

kya ajab puchhe na koi hashr men

ek ye bhi be-kasi ki baat hai

jis fughan se mangte the sab panah

ab vo ik be-taqati ki baat hai

muddaten guzrin visal-e-yar ko

meri nazron men abhi ki baat hai

kahte hain anjam us ka maut hai

jis qadar gham ho khushi ki baat hai

iztirab-e-shauq men kahni padi

jo tiri azurdagi ki baat hai

ai dil ummid is se hai tasir ki

ye fughan hai ya vali ki baat hai

phirte hain ahd-e-vafa se ham koi

ye bhi tum se aadmi ki baat hai

sach kaha hai dil ko hai ik dil se raah

un ke lab par mere ji ki baat hai

ghair se kuchh kah ke mujh se kahte hain

tum ko kya matlab kisi ki baat hai

vaada kyuun karte ho kah doge abhi

yaad kis ko hai kabhi ki baat hai

mujh pe vo hangama guzra hai ki log

kal kahenge aaj hi ki baat hai

dahr men ‘salik’ ye phaila hai nifaq

dosti bhi dushmani ki baat hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-zafar

Usne Toda Jahan Koi Paiman

Is Tarah Pahunchega Kaise Paya-E-Takmil Ko

Bachpan Ki Yaadon Ko Bhulae Ek Zamana Bit Gaya

Rahin-E-as Rahi Hai Na Mahw-E-Yas Rahi

Pahle-Pahal laDenge tamasKHur uDaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet