
Poet
kaTa na koh-e-alam ham se kohkan ki tarah
badal saka na zamana tire chalan ki tarah
hazar baar kiya ḳhun-e-arzu ham ne
jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah
savad-e-shab ki ye tanha.iyan bhi Dasti hain
ye chandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah
tamam shahar hai begana log na-manus
vatan men apne hain ham ek be-vatan ki tarah
ḳhayal-e-dost na hasrat na aarzu na ummid
ye dil hai ab kisi ujḌe hue chaman ki tarah
sukun-e-qalb to kiya hai qarar-e-jan bhi luTa
tumhari yaad bhi aa.i to rahzan ki tarah
ajab nahin ki sar-e-shahr-e-arzu ‘nadir’
hamara dil bhi jale sham-e-anjuman ki tarah

Leave a Reply