• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kasrat-E-Wahdaniyat Mein Husn Ki Tanwir Dekh

Kasrat-E-Wahdaniyat Mein Husn Ki Tanwir Dekh

kasrat-e-vahdaniyat men husn ki tanvir dekh

dida-e-haq-bin se rang-e-alam-e-tasvir dekh

is qadar khinchna nahin achchha but-e-be-pir dekh

pyaar ki nazron se su-e-ashiq-e-dil-gir dekh

ghair ne mujh par sitam Dhaa.e hain Dhale aaj tu

rah na jaa.e koi bhi tarkash men baaqi tiir dekh

kaam ban ban kar bigaḌ jaate hain lakhon raat din

kis qadar hai mujh se bargashta miri taqdir dekh

phir na ye kahna ki ḳhat likkha hai kis ne ghair ko

le ye hai maujud tere haath ki tahrir dekh

harna himmat dalil-e-kamyabi se hai duur

kaam le tadbir se phir ḳhubi-e-taqdir dekh

gumbad-e-gardun sambhal ai gumbad-e-gardun sambhal

kar na de sad paash tir-e-ah par tasir dekh

chaar din ki zindagi par musht-e-ḳhak itna ghurur

piis dega ek din ye asman-e-pir dekh

be-bula.e to nahin aaya tiri mahfil men ‘naz’

dekh haan haan dekh apne haath ki tahrir dekh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aur Phir Chehra-E-KHashak Badal Jaega

bahadur-shah-zafar

Jigar Ke Tukde Hue Jal Ke dil Kabab Hua

poet

Aazmaish Mein Kati Kuchh Imtihanon Mein Rahi

firaq-gorakhpuri

Lutf-Saman Itab-E-Yar Bhi Hai

sahir-ludhianvi

Ahl-E-dil Aur Bhi Hain Ahl-E-Wafa Aur Bhi Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet