apne hi saa.e men tha men shayad chhupa hua
jab ḳhud hi haT gaya to kahin rasta mila
jalte rahe hain apne hi dozaḳh men raat din
ham se ziyada koi hamara adu na tha
dekha na phir palaT ke kisi shahsavar ne
main har sada ka naqsh-e-qadam khojta raha
divar phand kar na yahan aa.ega koi
rahne do zaḳhm-e-dil ka daricha khula hua
nikla agar to haath na a.unga phir kabhi
kab se huun is badan ki kaman men tana hua
bedar hain shu.ur ki kirnen kahin kahin
har zehn men hai vahm ka tarik rasta
ju-e-nashat ban ke baha le ga.i mujhe
avaz thi ki saz-e-javani ka aks tha
itna bhi kaun hoga halak-e-fareb-e-rang
shab us ne mai jo pi hai to mujh ko nasha hua
‘farigh’ hava.e dard ne lauTa diya jise
aa.ega ek din mira ghar puchhta hua
Leave a Reply