meri nigah men yaar main us ki nigah men
zarre men mahtab hai zarra hai maah men
dil men hai duud aah to dil dud-e-ah men
abr-e-siyah ghar men ghar abr-e-siyah men
aisa kiya hai fauj-e-havadis ka samna
hairat men hai sipah to hairat sipah men
phaili hui hai zulf ki chhai hui ghata
abr-e-siyah tum men tum abr-e-siyah men
gham men khushi hai aur khushi men nihan hai gham
muzmar hai aah vaah men aur vaah aah men
kya dekhta hai mujh ko sarapa huun chashm-e-shauq
meri nigah tujh pe tu meri nigah men
ashshaikh vaqt kya ye hamara qusur hai
lazzat men hai gunah to lazzat gunah men
meri nazar men tum ho tumhari nazar men main
meri nigah men tum main tumhari nigah men
shikve men shukr shukr men shikva mila hua
ye aah meri raah men aur vaah aah men
main us ka said-e-husn vo mera shikar-e-ishq
us ki nigah mujh pe vo meri nigah men
dil tum men aur dil men tum allah re nasib
shah maskan-e-gada men gada qasr-e-shah men
dil bazm-e-yar men hai to dil men hai bazm-e-yar
mujh men hai jalva-gah to main jalva-gah men
sar aur kulah donon ‘sakha’ be-sabat hain
dam men kulah sar pe na sar hai kulah men
Leave a Reply