yuun apne ḳhvabon men girta sanbhalta rahta huun
main teri yaad se aage nikalta rahta huun
vo meri nindon men utre to kyon na thak jaa.e
main apne ḳhvabon ke manzar badalta rahta huun
main DhunD leta huun har baar koi os ki buund
phir us ki yaad ki bhaTTi men jalta rahta huun
vo ek naam jo bechain karta rahta hai
usi ko soch ke aksar bahalta rahta huun
jo us ka dil hai na meri havas faqat ik ḳhvab
usi khilaune ki ḳhatir machalta rahta huun
Leave a Reply