mujh ko tire suluk se koi gila na tha
zahr ab pi raha tha magar lab-kusha na tha
kanTon se jism chhalni hai mera isi liye
phulon se pyaar karne ka kuchh tajraba na tha
lakhon tamash-bin hain aur ham salib par
ik vaqt vo tha koi hamen dekhta na tha
kya jaane us ki aankh men kyuun ashk aa ga.e
chehre pe mere kuchh bhi to likha hua na tha
duniya samajh na pa.egi majburiyan tiri
mujh ko to hai yaqin ki tu bevafa na tha
kya tu ne chhoḌ rakkha hai zulfen sanvarna
itna to pahle main kabhi uljha hua na tha
ghurbat ki chandni ne dikha.e the raste
ham ko kisi charagh se koi gila na tha
yadon ne dastaken to bahut baar diin ‘shakil’
lekin kisi ke dil ka daricha khula na tha
Leave a Reply