
Amit Sharma Meet
apne hisse ki ana duun to ana duun kis ko
apni nazron se gira duun to gira duun kis ko
zindagi ka ye miri kaun hai qatil jaane
main huun mushkil men saza duun to saza duun kis ko
dosti men bhi hai ranjish ki kahani ki miri
is kahani ko bata duun to bata duun kis ko
muddaton se hain mili Thokaren mujh ko jo yahan
ishq-bazi men vafa duun to vafa duun kis ko
vaar sab piiTh pe karte hain yuun dil men rah kar
tu bata de main dua duun to dua duun kis ko
baat karti hi nahin ab to ye tanha.i bhi
man ki har baat suna duun to suna duun kis ko
har koi juujh raha hai yahan apne gham se
dard-e-gham ki ye dava duun to dava duun kis ko
kaun la.ega miri chiTThiyan ḳhushiyon vaali
apne ghar ka main pata duun to pata duun kis ko
gham men Duuba hua rahta huun main ab har lamha
‘mit’ ye jaam pila duun to pila duun kis ko

Leave a Reply