ḳhud apne aap ko dhoka diya hai
hamare saath ye akasr hua hai
ye mujh se zindagi jo mangta hai
na jaane kaun ye mujh men chhupa hai
yahi meri shikaston ka sila hai
koi mere badan men TuTta hai
kitab-e-gul ka rangin har varaq hai
tumhara naam kis ne likh diya hai
salib-e-vaqt pe tanha khaḌa huun
ye saara shahr mujh par hans raha hai
kabhi niind aa ga.i divangi ko
kabhi sahra bhi thak kar so gaya hai
‘shamim’ ik barg-e-avara tha ‘jami’
ḳhalaon men kahin ab kho gaya hai
Leave a Reply