Juda Hai Tera Saliqa Hai Tera Dhang Alag

judā hai terā salīqa hai terā Dhang alag

lage hai saare manāzir meñ terā rang alag

ravāñ thā garm lahū āhanī parindoñ meñ

chhaḌī thī amn-pasandoñ meñ sard-jang alag

na.ī dishāoñ se masmūm āñdhiyāñ uTThīñ

to āsmāñ bhī badalne lagā thā rang alag

nishāt-e-fan to bahar-hāl apnī qismat hai

hazār apne masā.il haiñ un se jang alag

siyāh abr huuñ sūraj se chhīn lūñgā ziyā

karūñgā qaus-e-quzah ke maiñ rang rang alag

judā haiñ tund havāoñ ke ātishīñ naġhme

to pāniyoñ ke tarāne haiñ zer-e-sang alag

maiñ apnī shaam ko sub.h-e-hisāb kahtā huuñ

magar vo shaam jo guzrī hai tere sang alag

ġhazal ke dar pe baḌā izhdihām hai lekin

‘nizām’ naam hai jis kā vo ik malang alag

Leave a Comment