mahfil se uth jaane vaalo tum logon par kya ilzam
tum abad gharon ke baasi main avara aur badnam
mere sathi khali jaam
do din tum ne pyaar jataya do din tum se mel raha
achchha khasa vaqt kata aur achchha khasa khel raha
ab us khel ka zikr hi kya ki vaqt kata aur khel tamam
mere sathi khali jaam
tum ne dhundi sukh ki daulat main ne paala gham ka rog
kaise banta kaise nibhta ye rishta aur ye sanjog
main ne dil ko dil se tola tum ne mange pyaar ke daam
mere sathi khali jaam
tum duniya ko behtar samjhe main pagal tha khvar hua
tum ko apnane nikla tha khud se bhi bezar hua
dekh liya ghar-phunk tamasha jaan liya main ne anjam
mere sathi khali jaam
Leave a Reply