yuun musallat to dhuan jism ke andar tak hai
dastaras aankh ki lekin kisi manzar tak hai
muḌ ke dekhun to ta.aqub men vahi saaya ho
bhuul ja.un mire hamrah koi ghar tak hai
main ki viran jazira huun basa de mujh ko
ai ki aqlim tiri saat samundar tak hai
us ke aage mujhe be-samt-o-nishan jaana tha
main ne samjha tha safar aḳhiri patthar tak hai
Leave a Reply