is baar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi
ankhen hain hamari nam kuchh aur tarah se bhi
sho.ala bhi nahin uThta kajal bhi nahin banta
jalta hai kisi ka gham kuchh aur tarah se bhi
har shaḳh sulagti hai har phuul dahakta hai
girti hai kabhi shabnam kuchh aur tarah se bhi
manzil ne diye ta.ane raste bhi hanse lekin
chalte rahe aksar ham kuchh aur tarah se bhi
daman kahin phaila to mahsus hua yaaro
qad hota hai apna kam kuchh aur tarah se bhi
us ne hi nahin dekha ye baat alag varna
is baar saje the ham kuchh aur tarah se bhi
Leave a Reply