kashti hai tabah dil-shudaon ki
lena khabar apne be-khudon ki
ai sarv-sahi ke ek gulshan
chaliyo mat chaal khush-qadon ki
kyun-kar vo kare suluk ham se
khatir hai aziiz hasidon ki
taamir kunisht-e-dil hua jab
zahid na bina thi masjidon ki
kahna mat maan vaizon ka
behuda hai baat behudon ki
dadhi na rahegi shaikh-sahib
sohbat men na baitho amradon ki
Leave a Reply