kar na rusva dil-e-betab bas ai vaae hamen
shab ke nalon se khajil karte hain ham-sae hamen
dosto bahr-e-khata koi to batlao ilaaj
ki shab-e-hijr sar-e-sham se niind aae hamen
taziyat-e-nama-e-uftada sar-e-rah men ham
ro pade dekh ke jo shakhs pada paae hamen
khub-ruyon ko jahan dekhte hain ai ‘maruf’
hasrat aati hai ki aisa na kiya haae hamen
Leave a Reply