• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kar De Karishma Aisa Ubur-E-Kitab De

Kar De Karishma Aisa Ubur-E-Kitab De

kar de karishma aisa ubur-e-kitab de

dena tu jis ko chahe use be-hisab de

suraj ki aarzu men kuchal Daali kahkashan

kis ḳhaak men the kitne sitare hisab de

rahmat ke saath chahun raza-e-ḳhuda bhi ho

mahshar ke roz baḳhsh na koi itaab de

yuun a.ine se dil ke tu har zang ko miTa

is dil ke aa.ine ko na.i aab taab de

pahunchun jo main salam mala.ek mujhe kahen

baḳhshish ho yuun ki saqi-e-kausar sharab de

ab ishq ka gunah to sarzad hua hi hai

chahe azaab de tu ki chahe savab de

ab roz ki tarah tu na yuun lait-o-la.al kar

kar dar-guzar gunah tu musbat javab de

jalva ata ho hashr ke maidan men mujhe

aur mustazad mujh ko tu jalve ki taab de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Rahe Nau-Roz Ishrat-Afrin Josh-E-Bahaar-Afza

KHud Apni KHwahishen KHak-E-Badan Mein Bone Ko

Ghash Bhi Aaya Meri Pursish Ko Qaza Bhi Aai

Itna Hai Zindagi Ka Talluq KHushi Ke Sath

Koi Din Aur Baad-E-Fana Hum Yahan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet