• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Pe Qabu Jo Tujhi Pe Nahin Qabu Apna

Kis Pe Qabu Jo Tujhi Pe Nahin Qabu Apna

shad-azimabadi

kis pe qaabu jo tujhi pe nahin qaabu apna

kis se ummid hamen jab na hua tu apna

jam-e-mai dekh ke jaata raha qaabu apna

ladkhadata huun pakad le koi baazu apna

nikhat-e-gul bahut itrati hui phirti hai

vo kahin khol bhi den turra-e-gesu apna

us ne phir kar bhi na dekha ki ye hai kaun bala

ham ko tha zom ki chal jaega jaadu apna

jis ko samjhe ho vahi chiiz nahin muddat se

ham dikha denge kabhi chiir ke pahlu apna

par-e-parvaz nikalne de qafas men sayyad

kaam dega yahi tuuta hua baazu apna

mil gae khaak men dar par tire itna baithe

is riyazat pe bhi ab tak na hua tu apna

gham nahin jam-e-tilakar utha rakh saaqi

kya gharaz ham ko salamat rahe chullu apna

chaukdi bhuul ke munh takte hain mujh vahshi ke

aake is paanv pe sar rakhte hain aahu apna

kaun ai tul-e-shab-e-gham tira jhagda rakkhe

aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna

nikhat-e-khuld-e-barin phail gai koson tak

vo naha kar jo sukhane lage gesu apna

lillahil-hamd kudurat nahin rahne paati

munh dhula deta hai har subh ko aansu apna

shadi o gham ke rahenge yahi ragde jhagde

qissa jis vaqt talak hoga na yaksu apna

gham men parvana-e-marhum ke thamte nahin ashk

shama ai shama zara dekh to munh tu apna

be-adab mushaf-e-rukhsar pe jhuk padte hain

rakhiye shanon pe zara gher ke gesu apna

sina-e-tang se ghabra ke gaya dil to gaya

munh dikhae na mujhe ab ye siyah-ru apna

phansne vaala tha phansa aa ke tiri zulfon men dil

ba-khuda is men nahin jurm sar-e-mu apna

shaam se jeb men ik talkh dava rakkhi hai

aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna

vahm o idrak o khayalat o dil o khvahish-e-dil

sab to apne hain magar kyuun nahin qaabu apna

‘shad’ samjhate hain kyuun ghair liya kya un ka

chashm-e-tar apni hai jaan apni hai aansu apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue

Sahar Ko Bhi Meri Mahfil Mein Barhami Na Hui

Jitna Tha Jina Ji Liye Mar Jaana Chahiye

Dang Hun Fareb-Kari Ke Ambar Dekh Kar

poet

Humne Jo Uski Midhaton Se Kan Bhar Diye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet