Sarzamin-E-Zulf Mein Kya Dil Thikane Lag Gaya

sarzamīn-e-zulf meñ kyā dil Thikāne lag gayā

ik musāfir thā sar-e-manzil Thikāne lag gayā

gulshan-e-hastī nahīñ jā-e-shaguftan ai sabā

dekh jo ġhuncha gayā yaañ khil Thikāne lag gayā

aabrū rakh lī ḳhudā ne us kī ham-chashmoñ meñ aah

teġh-e-abrū kā tirī ghā.el Thikāne lag gayā

fursat-e-yak-dam pe phūlā thā hubāb-e-āb-jū

thā jo naqsh-e-saf.ha-e-bātil Thikāne lag gayā

jān-e-shīrīñ dī tire āshiq ne bhī juuñ kohkan

sar se apne maar kar ik sil Thikāne lag gayā

rakh qadam hoshyār ho kar ishq kī manzil meñ aah

jo huā is raah meñ ġhāfil Thikāne lag gayā

chhāñv meñ naḳhl-e-mizha kī loTtā hai tifl-e-ashk

ḳhaak meñ yā rafta rafta mil Thikāne lag gayā

āshnā koī na dekhā ġharq-e-bahr-e-ishq kā

ek dam meñ jo tah-e-sāhil Thikāne lag gayā

be-kalī kyūñkar na hove us kī furqat meñ ‘nasīr’

ishq meñ us gul-badan ke dil Thikāne lag gayā

Leave a Comment