kamal-e-ishq men soz-e-nihan baaqi nahin rahta
bhaḌak jaate hain jab sho.ale dhuan baaqi nahin rahta
jabin to phir jabin hai astan baaqi nahin rahta
jahan tum ho kisi ka bhi nishan baaqi nahin rahta
tumhen dekhun to kya dekhun tumhen samjhun ko kya samjhun
mohabbat men to apna bhi guman baaqi nahin rahta
unhin se puchhiye ye un ke dil par kya guzarti hai
baharon men bhi jin ka ashiyan baaqi nahin rahta
kabhi yaad un ki aa.i hai kabhi vo ḳhud bhi aate hain
mohabbat men hijab-e-darmiyan baaqi nahin rahta
mohabbat raas aati hai to chha jaati hai duniya par
bigaḌti hai to phir nam-o-nishan baaqi nahin rahta
ḳhizan men lala-o-gul ka bharam bhi khul hi jaata hai
hamesha to fareb-e-gulistan baaqi nahin rahta
usi manzil men aate hain kahin dair-o-haram ‘arif’
harim-e-dil se bach kar astan baaqi nahin rahta
Leave a Reply