• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaleja Munh Ko Aata Hai Karen Tum Se Bayan Kyunkar

Kaleja Munh Ko Aata Hai Karen Tum Se Bayan Kyunkar

poet

kaleja munh ko aata hai karen tum se bayan kyunkar

na puchho ham-safiro ham se chhuTa ashiyan kyunkar

zara dekhen badal jaata hai daur-e-asman kyunkar

kisi ke haal par hota hai koi mehrban kyunkar

hamen to gham se itni bhi nahin fursat ki ye sochen

mohabbat men hua karta hai koi shadman kyunkar

kisi par umr bhar ki kis tarah mashq-e-sitam tum ne

zara socho to dil men aur loge imtihan kyunkar

chaman men ek muddat ham ne mashq-e-gul-fishani ki

qafas tak aate aate aa ga.i tarz-e-fughan kyunkar

jo halat dil ki hai vo rang-e-ruḳh uḌ uḌ ke kahta hai

chhupa.en ham use bhi surat-e-dard-e-nihan kyunkar

kaleje ki tarah jis ko jagah di ham ne siine men

vahi dil ban gaya hai aaj un ka ham-zaban kyunkar

kisi din aa ke ankhon se zara tum dekh to lete

kiya karta hai koi hijr men ah-o-fughan kyunkar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Subh kanTon Pe Sham kanTon Par

Zindagi Ka Safar KHatm Hota Raha Tum Mujhe Dam-Ba-Dam Yaad Aate Rahe

poet

Kis Sitamgar Ka Gunahgar Hun Allah Allah

Muskurao Bahaar Ke Din Hain

poet

Wahi Jo Manzil-E-Shams-O-Qamar Mein Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet