kal shab qasam ḳhuda ki bahut Dar laga hamen
ik zalzala vajud ke andar laga hamen
aisa na ho ki Dhang hi uḌne ka bhuul jaa.en
sayyad ek din ke liye par laga hamen
aate dinon men tera havala to ban sakin
katba bana ke qabr ke uupar laga hamen
us ka firaq itna baḌa saneha na tha
lekin ye dukh pahaḌ barabar laga hamen
kal a.inon ne rok ke mujh se kaha ‘hasan’
kuchh din hisar-e-zat se bahar laga hamen
Leave a Reply