Kal Raat Sehn-E-Dil Mein Tha Harjaiyon Ka Raqs

kal raat sehn-e-dil meñ thā harjā.iyoñ kā raqs

thī vahshatoñ kī thaap pachhal-pā.iyoñ kā raqs

manzūm ho rahī thī ḳhamoshī ba-faiz-e-hijr

thā zehn meñ hurūf kī parchhā.iyoñ kā raqs

us kī ḳhushī manā.ūñ yā afsos na karūñ

hai shohratoñ ke saaz pe rusvā.iyoñ kā raqs

ye vo zamāna hai nahīñ jis kī koī misāl

yaañ bhā.iyoñ ke qatl pe hai bhā.iyoñ kā raqs

shab bhar adā-e-husn ko Tuk dekhtā rahā

maiñ us ḳhirām-e-nāz kī añgḌā.iyoñ kā raqs

andar thā mere vasl kā bistar lagā huā

kamre meñ thak ke chuur thā tanhā.iyoñ kā raqs

maiñ mahv-e-guftugū thā tumhārī nazar ke saath

aur mere ird-gard thā bīnā.iyoñ kā raqs

kuchh baat thī jo bazm meñ tanhā khaḌā thā maiñ

hālāñki chār-sū thā shanāsā.iyoñ kā raqs

Leave a Comment