• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dard Ko Kitna Chain Mila Hai Parwanon Ki Mahfil Mein

Dard Ko Kitna Chain Mila Hai Parwanon Ki Mahfil Mein

dard ko kitna chain mila hai parvanon ki mahfil men

charagari dam toḌ ga.i hai na-danon ki mahfil men

apnon ki mahfil men dil par tanz ke nashtar barse hain

kis darja iḳhlas mila hai beganon ki mahfil men

aaj vafa par zikr karenge ahl-e-ḳhirad se divane

aaj junun ki sham.a jalegi farzanon ki mahfil men

ab ke ham bhi vahshat-e-dil ko bahlane le ja.enge

ab ke baharen raqs karengi viranon ki mahfil men

chand ki kirnon ki bahon men sone vaale jaag uThen

halchal mach jaa.e na mere armanon ki mahfil men

ham saudagar ashk-e-vafa ke kaun hamen pahchanega

kaun haqiqat ko samjhega afsanon ki mahfil men

dar-dar ham ne Thokaren kha.in dair-o-haram bhi ghuum aa.e

‘raje’ magar insan mile hain paimanon ki mahfil men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shad-azimabadi

Gham-E-Firaq Mai O Jam Ka Khayal Aaya

KHair Mangi Jo Aashiyane Ki

ishrat-afreen

Mere Purkhon Ki Pahli dua

abbas-tabish

Adhuri Nazm

Jab Jab Wo Sar-E-Tur-E-Tamanna Nazar Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet