kaise chhupaun raz-e-gham dida-e-tar ko kya karun
dil ki tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun
shorish-e-ashiqi kahan aur meri sadgi kahan
husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya karun
gham ka na dil men ho guzar vasl ki shab ho yuun basar
sab ye qubul hai magar khauf-e-sahar ko kya karun
haal mera tha jab batar tab na hui tumhen khabar
baad mere hua asar ab main asar ko kya karun
Leave a Reply