• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kai Sawal Machalte Hain Har Sawal Ke Baad

Kai Sawal Machalte Hain Har Sawal Ke Baad

rumana-rumi

kai saval machalte hain har saval ke baad

shab-e-visal se pahle shab-e-visal ke baad

na jaane kyuun ye mira dil dhadakne lagta hai

tire khayal se pahle tire khayal ke baad

har ek daav se vaqif thi ai mire hamdam

main teri chaal se pahle main teri chaal ke baad

na jaane kyuun tiri yaden tavaf karti hain

kisi malal se pahle kisi malal ke baad

tiri qasam tira chehra hi ru-ba-ru tha mire

tire saval se pahle tire saval ke baad

faza men qaus-e-quzah si bikhar gai har samt

tire jamal se pahle tire jamal ke baad

kahan thi ek hi halat mire dil-o-jan ki

tire khayal se pahle tire khayal ke baad

amir-e-shahr unhen yaad kar jo saath rahe

tire zaval se pahle tire zaval ke baad

koi hai ‘rumi’ musalsal saval karta hai

mire saval se pahle mire saval ke baad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ganw Rafta Rafta Bante Jate Hain Ab Shahr

Aise Jazbaat Mein Lahje Ko Na Patthar Kije

Is Jahan Pe Haal-E-Dil Aashkar Karna Hai

Dar Koi Jannat-E-Pindar Ka Wa Karta Hun

Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet