kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai
jo guzar rahi hai mujh par mira dil hi janta hai
tu saba ka hai vo jhonka jo guzar gaya chaman se
na vo raunaqen hain baaqi na kahin suhanta hai
use main nasib janun ki bashar ki khud-farebi
koi bhar raha hai daman koi khaak chhanta hai
tira yuun khayal aaya mujhe gham ki dopahar men
koi jaise apna anchal mire sar pe tanta hai
main nizam-e-zar ki devi se ‘qatil’ ashna huun
kahin naam us ka salma kahin chandrkanta hai
Leave a Reply