• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahte Hain Sun Ke Majra Mera

Kahte Hain Sun Ke Majra Mera

poet

kahte hain sun ke majra mera

tum se kis roz rabt tha mera

nama-bar us ne to kaha sab kuchh

tu ne bhi haal kuchh kaha mera

ab to khvahan visal ka bhi nahin

kuchh ajab hai muamla mera

aur kis ko sunate ho mujh ko

aur kis ka ye zikr tha mera

ye bhi kya baat aai us din ki

ye bhi kahiye qusur tha mera

mujh se phir puchhne se kya hasil

gar samajhte ho muddaa mera

kuchh kisi baat ka khayal bhi hai

ghair ke samne gila mera

dekh kar us ka phera lena munh

aur hasrat se dekhna mera

kuchh to baais hai mere aane ka

kuchh to tum se hai vasta mera

bevafa kahte hain sabhi tum ko

kahiye is men qusur kya mera

aisi baten to ghair ki hongi

aap ne naam le liya mera

haal sun ke mira na ye tu kah

ek hi haal hai tira mera

be-qarari se shab kati hogi

aisa kis din khayal tha mera

kis ne betab kar diya mujh ko

kaun aram le gaya mera

dam-e-marg aa ke puchhte hain ‘nizam’

ab to bakhsha kaha suna mera

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bahadur-shah-zafar

Galiyan Tankhwah Thahri Hai Agar Bat Jaegi

poet

Uski Khatir Rona Hansna Achchha Lagta Hai

Chup Hun Sab Jaanta Magar Hun Main

Nasim-E-Subh-E-Bahaar Aae Dil-E-Hazin Ko Qarar Aae

poet

Kisi Udas Aankh Ke Asir Ho Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet