kahin din Dhala kahin shab hui kahin shaam aa.i sahar ga.i
kisi bevafa ki talash men miri umr yuun hi guzar ga.i
tere husn-e-ishq-e-navaz ne mujhe ḳhush-nasib bana diya
mire ranj-o-gham ko miTa diya miri ḳhasta-hali sanvar ga.i
main kise suna.un ye dastan main kise bata.un ye majra
kisi naznin ki har ik ada mire dil jigar men utar ga.i
tire jalve zinat-e-gulsitan tu hi mehr-o-mah men zau-fishan
tire husn se hui ashna jahan tak hamari nazar ga.i
tumhen yaad main na karun kabhi tumhen apne dil se nikal duun
yahi kaam mujh se na ho saka miri zindagani guzar ga.i
Leave a Reply