Kya Bachaun Tujhe Kya luTaun Tujhe muKHtasar Zindagi

kyā bachā.ūñ tujhe kyā luTā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

ḳhud pe oḌhūñ ki nīche bichhā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

zarra zarra bikhar kar bhī āḳhir tujhe ḳhatm honā to hai

kyuuñ na yak-dam havā meñ uḌā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

terī khetī pe merā guzāra nahīñ bhuuk miTtī nahīñ

jī meñ aatā hai maiñ bech khā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

khīñchne kā jo va.ada kare saañs ko vasl ke pul talak

qissa-e-tūl-e-hijrāñ sunā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

tujh se aglī taraf maut kī vus.at-e-be-karāñ maujzan

tū hai dīvār sī chal girā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

chaar din kī hai mehmāñ mire paas tū mujh se rūThā na kar

naaz tere uThā.ūñ manā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

ain mumkin hai tū phail jaa.e yūñhī vus.at-e-jism meñ

rog kī tarah dil se lagā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī

Leave a Comment