har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja
asar-e-talatum hon to bal kha ke guzar ja
bahki hui maḳhmur ghaTaon ki sada sun
firdaus ki tadbir ko bahla ke guzar ja
mayus hain ehsas se uljhi hui rahen
paa.el dil-e-majbur ki chhanka ke guzar ja
yazdan o ahrman ki hikayat ke badle
insan ki rivayat ko dohra ke guzar ja
kahti hain tujhe mai-kada-e-vaqt ki rahen
bigḌi hui taqdir ko suljha ke guzar ja
bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat
ai abr-e-karam aag hi barsa ke guzar ja
kanTe jo lagen haath to kuchh gham nahin ‘saghar’
kaliyon ko har ik gaam pe bikhra ke guzar ja
Leave a Reply