• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Sadma Usko Pagal Kar Gaya Tha

Ye Sadma Usko Pagal Kar Gaya Tha

ye sadma us ko pagal kar gaya tha

vo apne aa.ine se Dar gaya tha

koi bhi sar nahin tha us ke qabil

abas us shahr men patthar gaya tha

jahalat ke havale paḌhte paḌhte

kitabon se mira ji bhar gaya tha

pilata kaun us pyase ko paani

koi masjid koi mandar gaya tha

vo kis miTTi ka tha nafrat ke ghar men

vo oḌhe pyaar ki chadar gaya tha

mira ehsas to tere karam se

mire marne se pahle mar gaya tha

na nikla phir vo saari umr ghar se

zara si der ko bahar gaya tha

to phir luuTa hai kis ne qafile ko

udhar to sirf ik rahbar gaya tha

vahan phir pair kab rakkha kisi ne

jahan raste men mera sar gaya tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Barbaadiyon Ka Zikr Bazm-E-Dil-Bran Tak Hai

Jab Main Suna Ki Yar Ka Dil Mujhse haT Gaya

Fursat Nahin Hai Mujhko Mohabbat Ke Khel Se

Mutarannim Hai Meri Ruh Mein Yun Teri Sada

KHwab Dekhe the Suhane Kitne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet